Sunday, April 16, 2017

Aik Piyaase Ki Dua

O jaate rahi teher, sun le meri iltijaa
Majnoon na sheher chhor de sun Laila ki sada

Jaana to hai asaan yun nazron ko pher kar
Kariye zara yeh pyaar ho ga sabr aazma

Wo husn ka paikar,  zaalim unki adaaen
Na rahee apne paas mere hawaas ki baqaa

Kiyun kaaten hum firaaq main baaqi yeh chaar din
Ishq aakhir ko khud hai apne jurm ki sazaa

Maana keh zindagi ka safar mukhtasar bohut 
De gi sada ka sukh aik miskeen ki sewaa 

Mabood laa shareek use Khuda maan kar
Bandon ke liye hoja hidayat tu saraapa

Mushkil kusha jo kaam aaen Rahi is tarah
Saaqi ke liye Kausar hai aik piyaase ki dua

~ Rahil 'Rahi' Khan

No comments: