Tuesday, May 9, 2017

Naghmaat Main Sajaa Kar

Yaad aa gai usi ki, nakhre dikha dikhaa kar
Jo kar gayaa tha waada, hum se nazar milaa kar

Un ki addaen aisi hum haar bhete yeh dil

Jisko churaa liyaa tha pehley hi muskuraa kar

Mobile se na hatna, texting bhi band na karna

Dartaa hun usko aakhir kho doon na phir se paa kar

Maikhaana hai yeh kaisaa, bhete hain sub hi piyaasey

Saaqi chalaa gaya hai khud aap ko pilaa kar

Pakki hai dosti yeh, toden naa hum kabhi bhi

Duniya bhi koi rakh de, qadmon main apne laa kar

Sub mushkilen bhi jhaileen aasan tha jab yeh kehna

Khushiyon ke bun ke baadal, sirf piyaar se wafaa kar

Ranj o alam mitaana, saathi se hum ne seekha
Her ghum ko baant lena huns huns ke aur hunsaa kar

Duniya ki garam mehfil lagti hai tub se khaali
Wo kar gaya akela, jub se gale lagaa kar

Sehraa main yun hi phirna, Laila ko naa tha milna
Majnoon main ho gaya khud paththar ki zad main aakar

Kiyunkar udaas hai wo, saael se pooch naa tu
Jaan e bahaar dil ki laut aae phir duaa kar

Mehfil main aaya Rahi, kuch aur to na laaya

Jazbaat le ke aaya, naghmaat main sajaa kar

~ Rahil 'Rahi' Khan