Saturday, April 23, 2016

Duago Jana


Nawazish Uski humko aap ne qalam-o-loh jana
Bina manzil tha warna yeh safar chalte raho janan
 
Rahe ghaafil hum apne humsafar insaan ki azmat se 
Bahana aik na tha wajh-e-bai-zameer ho jana 

Na the faarigh ke aate kaam hum bhi doosre shakhs ke
Yahan her kaam hai bus apne kaamon mein hi kho jana

Salam un par hain jo bai-laos aur dil jinke hain jaage 
Giran nahin mehfil mein warna sun azaan so jana 

Ho tum raahi, zara tehro, to yeh aarzu lo janan 
Dua-e-khair se aae the, ab tum hi duago jana


~ Rahil "raahi" Khan