Thursday, September 22, 2016

Dekho To Zara

Makke se khush haji aya dekho to zara
Kia usne khoya kia hai paya dekho to zara

Duniya ke melon ki taraf phir dil hua maail
Ya us ne rab dil main basaaya dekho to zara

Hai nadaamat us ko apna maazi dekh kar
Apne gunahon se sharmaya dekho to zara

Her saael pe karam aur subke gunaah maaf
Sab ki dua-e-khair kar aaya dekho to zara

Apno ke saath zindagi ki naee ibtida
Sab ke liye piyar jagaya dekho to zara

Shaitan her taraf aur apna nafs bhi paapi
tazkya-e-nafs kar dikhaya dekho to zara

Allah ne banaya tha jise khaas ik mehmaan
Ummat ki fatah maang laya dekho to zara

Arafat ka maidaan khushi ka woh thikhaana
Dil khol ke aansoo bahaaya dekho to zara

Rahi tha gunah-gaar yaa rab sir se per tak
Kia khoob nau-maulood lotaya dekho to zara

~ Rahil "Rahi" Khan