Saturday, August 13, 2016

Unke Hont Per

Her saans ko chhooti hui, jhuki jhuki nazar
Hum daikhte hi reh gaye manzil ko bhool kar

Kuch guftugu shereen, gehri zulfon ki lehar
Baaqi na raha hosh, aisa husn ka seher


Deedaar-e-yaar se qabal aati hai yeh khabar
Woh kar chuka hai qasd-e-hijr bun ke hamsafar

Hukum diya husun saraapa ne is taraah

Firaaq hi insaan ko banati hai sukhanwar

Likhi nahi ghazal koi muddat se aap ne

Gawaara nahi ab tera afsaana mukhtasar

Ghazlon men jitna chaahen hum bolen ye dil ki baat

Per kar naa saken kabhi ise supurd-e-nasar

Salaam na likhaa to karen unko hum naraaz

Majaal nahi pesh kar den dil-o-chaak jigar

Jigar aakhir qaabu kiya unki adaaon pe
Per dil na seh sakaa qaatil aankhon ka asar

Yaar ko bhoolen, to bhooli yaad phir aaee 
Chahaa tha unko hum ne yun be-los is qadar

Piyaar se nahi to chalo shikwa hi sahee
Aaya to mera naam aakhir unke hont per

Koo-e-yaar jab se hua qaafley ki dhool

Phirtaa hai beqaraar yeh majnoo idhar udhar

Aata nahi nazar jis ki hai Rahi ko talaash

Chhaan maare saare Masaajid aur Girja Ghar

~ Rahil 'Rahi' Khan


No comments: