Sunday, July 10, 2016

Maaf Kar Dena

Makke ki taraf Rahi chala maaf kar dena
Nadaan samajh ke kaha suna maaf kar dena

Shikwey kiye hazaar in ghazlon ki oat main
Tum se nahi tha mujh ko gila maaf kar dena

Iqraar ko betaab tha arsey se mera dil
Zaban ki girah khulwaa na saka maaf kar dena

Dil saaf kiya laakh par bhaya na aap ko
Bhaata nahi mujh ko bhi gunah maaf kar dena

Daantain pilaa ke thak gayee teri zaban-e-sard
Main bhi hun aakhir doodh ka jala maaf kar dena
  
Haji to hum kehlaaen ge duniya ki nazar main
Nazron se gar teri main gira maaf kar dena

Ya Rabb tu meherbaan hai sadaa arsh-e-bareen par
Insaan apas main na hua maaf kar dena

Mujh ko Khuda bakshe, per mera mudda'a hain aap
Naacheez ko ae khalq-e-Khuda maaf kar dena

Mujrim they hum saffaak aur machaya humi ne shor
Kotowaal ko yun ulta daantna maaf kar dena

Kaaba kis mun se jaae ga yeh Rahi besharam
Ya Rabb woh jis din tujh se mila maaf kar dena

~ Rahil Khan


No comments: