Thursday, July 28, 2016

Ek ishaara kaafi tha

Doston ko yaaron ko
Zinda dil be-qaraaron ko
Door koi naa kar sake
Aik pal bhi piyaaron ko

Kitna haseen woh maazi tha

Har qadam ke saathiyon ko
Phool jaise daaliyon ko
Kho diya hai jaane kaise
Aur bhula ke baaqiyon ko

Piyaasa khud hi saaqi tha

Thodi ghalat fahmiyon ko
Facebook pe selfiyon ko
Like karen bhi jalan se
Karee karaai nekiyon ko

Aakhir hona paap hi tha

Hai meh jabeenon ko
Dilruba haseenon ko
Aashnaai ke bahaane 
Be-qaraar honton ko

Ek ishaara kaafi tha

Fasaad ke safeeron ko
Zulm ki zanjeeron ko
Dekho sutum zarefi yeh
Shayad un luteron ko

Zameer khud ka qaazi tha

Gehre dil ke zakhmon ko
Nafraton ke harbon ko
Rab ki inaayat se
Marz ke andheron ko

Nabi ka ujaala shaafi tha

Nasr-o-nazam ke khelon ko
Na jaao unke melon ko
Sukhan-e-dil farebi se
Khoobsurat sheron ko

Gungunaata Rahi tha

~ Rahil 'Rahi' Khan

Tuesday, July 26, 2016

Na Sako Ge Tum

Pata hum ko ada tumhaari hai
Yun hi bhula na sako ge tum

Jeet go sada tumhaari hai
Ulfat ko hara na sako ge tum

Milne ki bus dua tumhaari hai
Chah ke bhi paa na sako ge tum

Kya qadr-o-qaza tumhaari hai?
Zindagi lota na sako ge tum

Dil pe qudrat kya tumhaari hai
Muhabbat mita na sako ge tum

Rahi naam uska bohut aali hai 
Gira ke uthaa na sako ge tum

~ Rahil Khan

Sunday, July 24, 2016

Aaj Kal Ke Zamaane Main


Aaj kal ke zamaane main
Insaaniyyat ko bhulaane main

Aik hi afwaah udaate rahe
Ghairaton ko uksaane main

Nafratain ubhaarte rahe
Piyaar kahaan is fasaane main 

Kaam uljhaate rahe
Sawere main, raat aane main

Facebook pe jaate rahe
Roothne main, manaane main

Anghoote yunhi thakaate rahe
Mobile ko tod daalne main
  
Ataa pataa chalaate rahe
Mizaaj ko aazmaane main

Tumhe hamdard banaate rahe
Doosron ke kaam aane main

Milne se katraate rahe
Ajnabiyyat hataane main

Zauq-e-guftaar ganwaate rahe
Husn-e-gumaan paane main

Tum haseen nazar aate rahe
Kirdaar ke paimaane main

Hanste aur hansaate rahe
Heer ke aastaane main

Sargoshiyon main sunaate rahe
Ghazal likhi weeraane main

Takhliyaa chaahte rahe
Zulf ke sir ho jaane main

khayaalon main hi paate rahe
Tum door ho gaye bulaane main

Rahi hum rah bhulaate rahe
Us ko humsafar banaane main

~ Rahil 'Rahi' Khan

Sunday, July 10, 2016

Maaf Kar Dena

Makke ki taraf Rahi chala maaf kar dena
Nadaan samajh ke kaha suna maaf kar dena

Shikwey kiye hazaar in ghazlon ki oat main
Tum se nahi tha mujh ko gila maaf kar dena

Iqraar ko betaab tha arsey se mera dil
Zaban ki girah khulwaa na saka maaf kar dena

Dil saaf kiya laakh par bhaya na aap ko
Bhaata nahi mujh ko bhi gunah maaf kar dena

Daantain pilaa ke thak gayee teri zaban-e-sard
Main bhi hun aakhir doodh ka jala maaf kar dena
  
Haji to hum kehlaaen ge duniya ki nazar main
Nazron se gar teri main gira maaf kar dena

Ya Rabb tu meherbaan hai sadaa arsh-e-bareen par
Insaan apas main na hua maaf kar dena

Mujh ko Khuda bakshe, per mera mudda'a hain aap
Naacheez ko ae khalq-e-Khuda maaf kar dena

Mujrim they hum saffaak aur machaya humi ne shor
Kotowaal ko yun ulta daantna maaf kar dena

Kaaba kis mun se jaae ga yeh Rahi besharam
Ya Rabb woh jis din tujh se mila maaf kar dena

~ Rahil Khan