Monday, May 2, 2016

Yaad

Naiyya paar lagaati hai
Her ik thokar sikhaati hai

Bhulaaen laakh hum jinko
Unhi ki yaad saathi hai

Woh pudia hai sharaarat ki
Agar cheh  'yaad'  kehlaati hai

Tasawwar main bhi aksar woh
Manaa ker rooth jaati hai

Udaas ho jab ghazal sun ke
Taraane gungunaati hai

Khushi ki yaad bun ker phir
Yunhi ik dam rulaati hai

Per tanhaai aur yeh ik yaad
Mehfil ki jaan yeh saaqi hai

Nazar koi aae kaam aata
Aahat bajia ki aati hai

Shafqat se thapki daddy ki
Hamesha rah dikhlaati hai

Woh dekho ammi bhi huns ke
Donon ko gale lagaati hain

Dua nikli jo aansu sung
Sukoon dil mein basaati hai

Apnon ki judaai per Rab ki
Rehmat humko manaati hai

Woh piyara chalaa gaya per shukr
Keh unki yaad to baaqi hai

Khuda ki Yaad ho jo saath
Aaqibat yehi banaati hai

Ae Raahi sun keh woh Baange-
-Darah tujh ko bulaati hai

~ Rahil "raahi" Khan

No comments: